main kuch kerna chata tha per main kuch ker nai pa raha tha main chata tha ke mera bhi ek nam ho
jasy logon ke naam thy issac newton Mickel jackson Hitler jasy insaan thy jo ise duniya main nahi hain per abhi bhi un logon ke nam hain ise duniya main main aisa nam banana chata tha
chahy wo kisi actor ki trha hota ya pheir kisi writer ki trha hota kisi business man ki trha hota ya pher
asi cheez ijhad ker deta ke duniya mera naam bhi leny per majbour ho jati ke ek asad ali shah bhi ise
main aiya tha jis ne ya kaam kiya tha mery kheal main duniya main paisa hi sub kuch nai hai kio ke
paisa hona ya na hona koi badhi baat nai badhy badhy paisy waly ise duniya main aiy or chaly gaye
kisi ko kuch pata nai ke wo kon thy inaan ise duniya main paisy
kamany nai aiya kiya? us ka maqsab sirf paisa kamana hai Paisa
kamana kiya hai ke paisa jama karo ghar banahoo gadhiyan hon
badhi badhi ke duniya yad kary wahooo kitna paisa hai aisy paisy
per main lahnat dalta hoon insaan ka maqsab paisa kamana nai
balky apny Rab ko razi kerna or koi aisa kam ker jana ke duniya us
ko yaad kary jasy azeem logon ne apny naam banaye hain or aj bhi
duniya un ko yaad kerti hai main bhi chata tha ke koi aisa nam
mera bhi ho mery merny ke bad log mujhy bhi yaad karin or main
koi kam bhi aisa kerta ke duniya mujh ko yaad kerti or kary per
kiya or kaisy? ya hi tu mujh ko samjh nai a rahi thi main ne aj tak
jitny logon ki history padhi woo bachpan main koi itny khass ya
ameer ghar ke ladky ya ladkiyan nai thin jin main bahut se scientist,
actor, writer, political mans, business mans or asy azeem admi jo ise
duniya main se chaly gahy per abhi bhi ise duniya main hi zinda
hain or hum un logon ko zinda logon se ziada janty hain per
humary han naam banana tu kiya bus logon ko pisa banany ka
tarika ata hai jis se pochu wooo paisa banany laga hai per main
aisa nai tha mujhy naam bana acha lagta tha ke mera bhi koi nam
ho or mujhy yaqeen hai ke main ek din bahut badha nam banahon
ga
or koi na koi aisa kam ker jahon ga ke mery marny ke bad log mujh
ko yaad karin gy inshAllah per abhi tu log mujh ko pagal samjh ty
hain or yaqeen se pochu tu main kud bhi apny ap ko aisa hi samjh ta hoon
per ek hise bolti hai ke tu ek special hai or tu ek bahut badha abmi
hai per jab ise duniya main mujhy aisa nai lagta jisa ise duniya
main ek mahool sa hai per phir bi mujhy tu kuch kerna hai or
zaroor kerna hai inshAllah ke ise duniya main mera bhi nam ho or
ho ga ager mery Allah ne chaha tu zaror or mujhy bhi kuch aisi hi
koshish kerni hai kio ke main bahut se logon ki histories padh
chuka hon
ke sub normal se bhi kamter thy or aj wo ek special insaan hain
mujhy likhna acha lagta tha per mera dill likhny ko nai cha raha
tha ke main abhi nai likhta phir likh lon ga per aj se mujhy shoke
hoa hai likny ka ke main bhi likhon apni biography kio ke special
log hi biography likhty hain or Azeem logon ki hi Books hoti hain
or main bhi tu ek Azeem hi hon na main ne 22 saal tak ki zindagi
aisy hi guzar di or baqi ki zindaqi bhi mujhy aisy hi guzarny ki lag
rahi thi main 22 saal tak kuch bhi nai janta tha matlub ke mery pass
koi khass fun nai tha jis se main kuch acha sa karobar ker sakta ya
phir apna or apny ghar walon ka phat sahi tariky se paal sakta main
ek private company main photocopier operate tha or meri pay koi
12000 ke lag bag thi ise se mera tu chalo guzara ho jata per mery
ghar walon ka guzara nai ho sakta or aisi zindagi mujhy pasand nai
thi jis main koi khass amdan na ho main bhi achi zindagi guzarna
chata tha jasy Vip log guzar rahy thy matlub ke Ameer admi main
Ameer nai banny ki baat ker raha per ek achi zindagi ki baat ker
raha hon humary han kiya hota hai logon ki soch hi choti hai log
20000,30000ya phir 2 lakh hi kio na ho nokri tu nokri hi hoti hai or
tankha kabi kisi ki tamam ter ki zindagi ki sahuliyat pori nai ker
sakti ise ke lihy apni bahut sari wishes ko todna padta hai apni kafi
zaroriyat ko kam ker ky apny bachon ka pheat palna padhta hai per
sach main pocho tu bachy phir bi kush nai hoty kio ke ap jo un ko
Ameer bachon wali sahuliayat de rahy ho or jitni bhi kio na hon
kisi mood per kam padh hi jati hain jasy ap un ko Ameer logon ke
bachon waly school main daal dety ho thek hai chalo phir jab tum un ko achy school main daal dety ho phir school tak tum mushkil se un ke kharchy pory kerty ho apna pheat kaat ker un ko achy kapdhy bhi le dety ho ke humary bachy bhi Ameerzhady laghain phir kuch sports ki cheezian bhi le dety ho khana bhi acha banaty ho kio ke jab achy school main padhty hain tu un bachon se achy khanoo or jadeed se jadeed chezon ke bary main sunty hain or un ka bi dill kerta hai ke hum bhi aisy cheezain lean per kahi dafa tum ye sub kuch mushkil ke pora ker bi dety ho or phir baat hadh se badh jati hai bachy car leny ka soch lety hain matlub ke tum apny ap per kahi trha se zulm kerty ho or phir bhi bachy kush nai rhy paty or ap ko bura smjhty hain ap kuch socho ke ek 30,000 pay wala abmi kitna ek bardasht kary ga or ise ka result ya nikalta hai ke bachy badtameez ho jaty hain or apny maa baap ke kihlaaf ho jaty hain phir kiya faida ise school ki taleem ka or ise life standard ki zindagi ka Coming soon ..........
No comments:
Post a Comment